Aalam-e-sakr Mein Jo Kahta Hun Kahne De Mujhe
aalam-e-sakr mein jo kahta hun kahne de mujhe
mere andar to yahi kuchh hai so rahne de mujhe
aa kabhi lams ko yaksar nazar-andaz karen
aankh se aankh mila KHun mein bahne de mujhe
dur ja kar bhi meri ruh mein maujud na rah
tu kabhi apni judai bhi to sahne de mujhe
tu mujhe bante bigaDte hue ab ghaur se dekh
waqt kal chaak pe rahne de na rahne de mujhe
jaan-e-'KHurshid' mujhe sae se mahrum na rakh
main gahan mein agar aata hun to gahne de mujhe
(504) Peoples Rate This