Mere Haal Se Nahin Be-KHabar Mera Kuza-gar
mere haal se nahin be-KHabar mera kuza-gar
ki hai shah-rag se qarib-tar mera kuza-gar
kabhi baKHsh de mere KHadd-o-KHal ko tazgi
kabhi noch le mere baal-o-par mera kuza-gar
kahin jaan-e-jaan kahin mehrban kahin raaz-dan
kahin nukta-bin kahin nukta-war mera kuza-gar
meri KHubiyon meri KHamiyon se hai be-KHabar
nahin be-basar nahin kam-nazar mera kuza-gar
mera aaina kabhi sang-o-KHisht mein Dhaal de
kabhi toD de mujhe joD kar mera kuza-gar
mujhe aise lagta hai mere jism ki KHak ko
abhi aur rakkhega chaak par mera kuza-gar
mujhe raston ki saubaton se nahin KHatar
mere sath hai mera ham-safar mera kuza-gar
wahi zaKHm de wahi zaKHm-e-dil ki dawa kare
mera mehrban mera chaara-gar mera kuza-gar
(457) Peoples Rate This