Wahi Bu-e-gul Hai
koi jazba hai na koi ehsas
ab to wo hai bhi nahin mere pas
jaise wo tha hi nahin mere pas
jaise wo tha hi nahin koi sawal
jaise wo tha hi nahin mera KHayal
jaise wo tha hi nahin raat ki nind
jaise wo tha hi nahin mera KHwab
jaise wo tha hi nahin mera nasha
jaise wo tha hi nahin meri sharab
jaise wo tha hi nahin mera KHumar
jaise wo tha hi nahin subh ka nur
jaise wo tha hi nahin din ka ghubar
jaise wo tha hi nahin sham-e-surur
jaise wo tha hi nahin meri murad
jaise wo tha hi nahin lams-e-hayat
jaise wo tha hi nahin ishq mera
jaise wo tha hi nahin shahr-e-najat
jaise wo tha hi nahin phir bhi use
waqt kyun yaad kiya karta hai
shaghl ijad kiya karta hai
dard ko shad kiya karta hai
KHud ko aabaad kiya karta hai
jism ke phul mein ehsas ki KHushbu hai yaad
hijr ki raat mein ummid ka jugnu hai yaad
madh bhare nain ka wo aaKHiri jadu hai yaad
KHud ko main bhul gaya sirf mujhe tu hai yaad
jaise main tha hi nahin jaise main hun bhi nahin
ishq aabaad fana-e-kul hai
gul ka hasil wahi bu-e-gul hai
(301) Peoples Rate This