Pahla Manzar
sard yaKH-basta mausamon ki nawed
jaane kis kis ke nam aai thi
kohar-alud thi faza aisi
subh kuchh unghti hui jagi
us ki aaghosh se humakta hua
ek suraj qulanchen bharta hua
aasman-e-fusun ke maidan mein
shoKH kirnon ko chheDta nikla
ho gaya KHitta-e-ufuq gul-rang
main tha mahbus apne kamre mein
dafatan dekhta hun nur-e-karim
hai khaDa yaad ke dariche par
chand masum sa sawal liye
jhankta hai idhar udhar shashdar
dusra manzar
yaad hai february mahina tha
nau shagufta nai bahaar ke din
facebook par mile the jab donon
us ne ki iltija rifaqat ki
main ne hans kar use qubul kiya
garm shoala tha us ko phul kiya
us ne dil ka salam bheja tha
main ne jaan ka payam bheja tha
(296) Peoples Rate This