Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_58bf48366ed572da064ff2f083707cb3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Maqtal Ki Id-e-qurban - Khursheed Akbar Poetry In English - Darsaal

Maqtal Ki Id-e-qurban

kitne aadab se maqtal ko sajaya gaya hai

phir teri bazm se zindon ko uThaya gaya hai

sach kisi jhuT ki taKHliq nahin kar sakta

jaane kya hai jo saliqe se chhupaya gaya hai

is se baDh kar nahin ho sakti fana ki taswir

aisi hikmat se khilaune ko banaya gaya hai

id-e-qurban se muqaddas nahin koi taqrib

is tarah bhula sabaq yaad dilaya gaya hai

is tarah KHwab se milti nahin koi tabir

jaise sahra mein samundar ko bulaya gaya hai

jaane ye kis ne banai hai qayamat ki shabih

sirf ilzam musawwir pe lagaya gaya hai

aur puKHta hui jannat ki bashaarat 'KHurshid'

jis tarah miTTi mein miTTi ko milaya gaya hai

(335) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqtal Ki Id-e-qurban In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Maqtal Ki Id-e-qurban is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Maqtal Ki Id-e-qurban for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Maqtal Ki Id-e-qurban in PDF.