Main Wo Patthar
us se rishta raha ajab mera
aa gaya nam be-sabab mera
us se aage ke marhale pe magar
na-rasai ke silsile pe magar
main to kuchh bol bhi nahin sakta
raaz ye khol bhi nahin sakta
silsila dur tak udasi ka
ek manzar hai na-sipasi ka
jhuT ho waqt ho ki ishq-e-mudam
yaad ho KHwab ho ki hij-e-dawam
un ke to panw bhi nahin hote
aur wo chal kar aae mere pas
bar-e-ehsan bhi mujh pe Dal gae
le uDe chhin kar wo hosh-o-hawas
jaane sab ho gae kahan ru-posh
han wahi jaan-e-asman-bar-dosh
shor hai KHitta-e-adawat mein
main hun phir hujra-e-nadamat mein
kho gaya shauq-e-intizar mera
chhin gaya mujh se mera shahr-e-najat
kis bayaban mein us ne Dal diya
ho gai dur shahrah-e-hayat
yun ruKH-e-e'tibar bhi TuTa
mazhab-e-iKHtiyar bhi chhuTa
ishq jab imtihan leta hai
shahr-e-mahbub chhuT jata hai
main wo patthar jo TuTta bhi nahin
sabr-e-ayyub TuT jata hai
(277) Peoples Rate This