KHud-farebi
tum mujhe imtihan mein Dalo
main tumhein imtihan mein Dalun
phir natija ho jis ka ruswai
aur hasil ho sham-e-tanhai
is talluq ka faeda kya hai
is se bachne ka rasta kya hai
main ne pahle bhi tum ko dekha hai
aur har bar dekhna hai kya
jao tum ko nai hayat mile
KHud-farebi se ab najat mile
main koi yaad hun na koi KHayal
mera aashiq hai tu na shahr-e-jamal
apni duniya mein KHush raho jaanan
qissa-e-dard mat kaho jaanan
raushni se guzar gae sae
tirgi mein utar gae sae
phir kahin nam hai na koi pata
zindagi tera ghar kahan hai bata
(288) Peoples Rate This