Dasht-e-be-aman
tujhe yaad karte karte
teri rah takte takte
mere ajnabi musafir
kai din guzar gae hain
koi sham aa rahi hai:
koi KHushnuma sitara jo falak pe hans raha hai kisi mah-jabin ki surat
jo nazar ko Das raha hai
wahi ek istiara
teri yaad rahguzar par mera ham-safar bana hai
wahi ek ziya salamat
sar-e-sham tirgi mein
mere kaam aa rahi hai
mere raste ke aage
kisi raat ka guzar hai
kahin wahm sar-ba-sar hai
kahin KHauf ka asar hai
kahin sarsarahaTen hain
kahin jhunjhunahaTen hain
nahin dasht-e-hu mein aahu
nahin jangalon mein jugnu
teri yaad wo khilauna jise toD bhi na paun
kahin chhoD bhi na paun
abhi nisf shab hai guzri
tujhe yaad kar raha hun tere KHwab dekhta hun
yahi jism hai bichhauna isi jaan ko oDhna hai
hui subh dar pe dastak
tere KHwab ja chuke hain
teri yaad bhi hai ruKHsat
nai aarzu khaDi hai
nae log mil gae hain
mere samne hazaron
nae kaam aa paDe hain
isi darmiyan tasawwur tera bar bar aaya
isi raste pe jaanan
koi sham phir hai aai
teri yaad nur-paikar
teri qurbaton ka saya
kahin tirgi mein gum hai
main azan de raha hun
kisi dasht-e-be-aman mein
(365) Peoples Rate This