Yaqin Hai Jis Pe Wahi Bad-guman Nikalta Hai
yaqin hai jis pe wahi bad-guman nikalta hai
meri zamin se us ka makan nikalta hai
hamare shahr mein hota hai saneha lekin
KHata kahan ki hai ghussa kahan nikalta hai
ye aur baat ki wo pak sar-zamin hai magar
wahan ki KHak se hindostan nikalta hai
mere liye to akela KHuda bahut hai magar
tumhaare waste sara jahan nikalta hai
siyah raat sitare bujhati rahti hai
ye mera KHwab-sitara kahan nikalta hai
safar hai dhup samundar ka aur jazire sa
kahin kahin pe koi saeban nikalta hai
mana raha hai wo jashn-e-shabab maqtal mein
har ek lash ka chehra jawan nikalta hai
tumhaare ghar mein abhi kitni raushni hogi
hamare ghar se abhi tak dhuan nikalta hai
kaha kisi ne siyah-posh ho gaya 'KHurshid'
suna kisi ne dam-e-kahkashan nikalta hai
(330) Peoples Rate This