Wo Ek ChaTan Jo Pani Hui Saliqe Se
wo ek chaTan jo pani hui saliqe se
nadi kuchh aur siyani hui saliqe se
nigah ki dhaar mein KHanjar ka zaiqa utra
dilon ki baat zabani hui saliqe se
ise bhi kha gai tahzib dimakon ki tarah
nai kitab purani hui saliqe se
wo ek raat jo pahlu mein mutmain thi bahut
qayamaton ki nishani hui saliqe se
uThe jo shahr se sahra pe wo baras bhi gae
ghamon ki naql-e-makani hui saliqe se
mere lahu se hain gul-rang hasraten us ki
saza ki sham suhani hui saliqe se
kisi ka qurb kabutar ke pankh jaisa tha
badan ki aag bhi pani hui saliqe se
(279) Peoples Rate This