Shahr Ka Shahr Hai Be-zar Kahan Jaun Main
shahr ka shahr hai be-zar kahan jaun main
aur tanhai hai dushwar kahan jaun main
log marte hain sisakte hain maze lete hain
dekh kar surKHi-e-aKHbar kahan jaun main
tu jo kahta hai ki ye KHak-e-watan teri hai
main kahan par hun mere yar kahan jaun main
ek inkar pe mauquf hain sare qisse
main kahan sahab-e-kirdar kahan jaun main
mujh ko rishton ki tijarat kabhi manzur na thi
sochta hun sar-e-bazar kahan jaun main
parsa KHwab sabhi us ke tasarruf mein rahe
raat bhi ho gai badkar kahan jaun main
koi manzil teri niyyat se kabhi raushan ho
ai mere qafila-salar kahan jaun main
ek jhanDe hain sabhi rang juda hain un ke
kaun hai kis ka alam-dar kahan jaun main
jitne munkir the tere sare farishte nikle
ek main tera gunahgar kahan jaun main
main kinare pe khaDa soch raha hun 'KHurshid'
naw ke sath hai manjdhaar kahan jaun main
(329) Peoples Rate This