Lahu Mein Dubta Manzar KHilaf Rahta Hai
lahu mein Dubta manzar KHilaf rahta hai
amir-e-shahr ka KHanjar KHilaf rahta hai
yazid-e-waqt ko duniya qubul kar le magar
sinan ki nok pe ek sar KHilaf rahta hai
sulagti pyas ne kar li hai morcha-bandi
isi KHata pe samundar KHilaf rahta hai
mere usul ke bachche bhi ehtajaji hain
zara jhukun to mera ghar KHilaf rahta hai
main chahta hun ki dushman ko surKH-ru kar dun
magar safed kabutar KHilaf rahta hai
hai e'timad mujhe phawDon ki taqat par
bas itni baat se patthar KHilaf rahta hai
ajab tarah ki tabiat mili hai KHud-sar ko
ki do jahan se 'akbar' KHilaf rahta hai
(329) Peoples Rate This