KHwab Sahra Teri Tabir Nikal Aai Hai
KHwab sahra teri tabir nikal aai hai
koi wahshat hai ki jagir nikal aai hai
shaKH-e-mizhgan ke parinde hain ye aansu goya
aab-o-dana liye taqdir nikal aai hai
KHun ubalta hai nikalta hai dhuan aankhon se
dekh pani ki ye tahrir nikal aai hai
shahr is tarah bayaban mein gira hai jaise
waqt ke panw se zanjir nikal aai hai
zindagi tujh ko magar sharm nahin aati kya
kaisi kaisi teri taswir nikal aai hai
raat hai jism hai bistar hai falak pahlu mein
chand nikla hai ki shamshir nikal aai hai
tez lahron mein salamat nahin koi 'KHurshid'
kis tarah hasrat-e-tamir nikal aai hai
(345) Peoples Rate This