KHala Mein Tair Raha Hai Sawal Duniya Ka
KHala mein tair raha hai sawal duniya ka
KHuda ko aaega kis din KHayal duniya ka
ye aur baat ki jannat yaqin se aage thi
wahan bhi sath gaya ehtimal duniya ka
hamare nama-e-amal mein likha us ne
uruj-e-adam-e-KHaki zawal duniya ka
ye waqia hai ki insan mar gaya pahle
phir is ke baad hua intiqal duniya ka
koi KHabar nahin kis waqt aur kahan gir jae
KHuda ke hath se jam-e-sifal duniya ka
hazar mail ko dhoya hazar sabun se
kisi tarah bhi na chhuTa KHayal duniya ka
ajib rang ka pinjra hai aasman niche
tilism-e-ghaib hai 'KHurshid' haal duniya ka
(376) Peoples Rate This