Kaun Kis Ke Sath Rahta Hai Makan Hote Hue Bhi
kaun kis ke sath rahta hai makan hote hue bhi
kaun chalta hai zamin par aasman hote hue bhi
kaun jaane KHair ka pahlu kahin raushan ho shayad
hum tumhaare shahr mein hain be-aman hote hue bhi
tez barish mein bhi kitne pyas ke mare paDe hain
dhup mein jalte hain kitne saeban hote hue bhi
is andheri raat mein wo chand niklega yahan se
ek daricha ain-mumkin hai guman hote hue bhi
nau-shagufta ek shajar ka qad nikalna hai qayamat
aur us ka be-KHabar hona jawan hote hue bhi
koi titli gul ka chehra chumti rahti hai akasr
phailti rahti hai KHushbu raegan hote hue bhi
is ghane jangal ka jalna apni sarhad se nikalna
bastiyon ko yaad hai sab kuchh dhuan hote hue bhi
mahi-e-be-ab sa betab hai sara zamana
aur main shadab hun aatash-bajaan hote hue bhi
zindagi main ne tumhein har haal mein aabaad rakkha
rote hanste jite marte be-nishan hote hue bhi
rah-e-sheristan se guzra hai koi KHurshid-'akbar'
'mir' o 'ghaalib' ka ilaqa darmiyan hote hue bhi
(315) Peoples Rate This