Kab Kisi Gahre Samundar Ko Hawa Samjhegi
kab kisi gahre samundar ko hawa samjhegi
sath par tairti maujon ko nawa samjhegi
do badan dard ki lahron pe bhi mil sakte hain
is risalat ko kahan baad-e-saba samjhegi
ruh ka zaKHm na paDh paega gautam phir bhi
wo pujaran isi patthar ko KHuda samjhegi
waqt kafir ki KHudai hai gunahgar bahut
sari masum namazon ko qaza samjhegi
is haweli ki riwayat hi sharifana hai
KHud ko nilam chaDha kar bhi baja samjhegi
jaane kab utrega 'KHurshid'-e-bashaarat mujh mein
kab ye tanhai mujhe ghaar-e-hira samjhegi
(300) Peoples Rate This