Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f78cdc619d693b92d92bbd0d6e06b830, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Guzar Gai Hai Mujhe Reg-zar Karti Hui - Khursheed Akbar Poetry In English - Darsaal

Guzar Gai Hai Mujhe Reg-zar Karti Hui

guzar gai hai mujhe reg-zar karti hui

wo ek machhli samundar shikar karti hui

na jaane kitne bhanwar ko rula ke aae hai

ye meri kashti-e-jaan KHud ko par karti hui

wo ek saat-e-masum dil ki parwarda

mukar gai hai magar e'tibar karti hui

junun ki aaKHiri larzida muzmahil si raat

jhapak gai hai zara intizar karti hui

ye kaisi KHwahish-e-na-did hai dorahe par

sahm gai hai abhi mujh pe war karti hui

lipaT ke so gai aaKHir sham-e-firaq ke sath

shab-e-siyah sitare shumar karti hui

safar mein kaisi hararat qarib thi 'KHurshid'

utar gai hai mujhe dhaar-dar karti hui

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Gai Hai Mujhe Reg-zar Karti Hui In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Guzar Gai Hai Mujhe Reg-zar Karti Hui is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Guzar Gai Hai Mujhe Reg-zar Karti Hui for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Guzar Gai Hai Mujhe Reg-zar Karti Hui in PDF.