Ghulam Sar Pe Ibaadat Abhi Na Rakkhi Jae
ghulam sar pe ibaadat abhi na rakkhi jae
KHuda ke nam baghawat abhi na rakkhi jae
main Thik-Thak to kar lun hasab-nasab apna
lahu pe shart-e-nadamat abhi na rakkhi jae
ki jis ki aanch se jibrail-e-agahi jhulsen
ana mein itni tamazat abhi na rakkhi jae
hamare shahr ki miTTi hai shar-pasand bahut
yahan fasil-e-hifazat abhi na rakkhi jae
bahisht-rang muradon ki ja-namazon par
munafiqon ki siyasat abhi na rakkhi jae
safed-poshi-e-zillat bahut hai jine ko
sar-e-janab-e-sharafat abhi na rakkhi jae
hamare KHun se ibarat hai shajra-e-tahzib
yahan pe mohr-e-siyaadat abhi na rakkhi jae
(365) Peoples Rate This