Ghar-bar Kahan Kucha O Bazar Meri Jaan
ghar-bar kahan kucha o bazar meri jaan
darwesh ko duniya nahin darkar meri jaan
ek shahr zamin-bos hai aamad pe tumhaari
raste mein bichhe hain dar-o-diwar meri jaan
kyun arsa-e-aflak siyah-posh hai bolo
kis tarah zamin ho gai gulnar meri jaan
kuchh phul hain shaKHon se abhi jhul rahe hain
ruKHsar pe rakkhe hue ruKHsar meri jaan
rota hun to sailab se kaTti hain zaminen
hansta hun to Dhah jate hain kohsar meri jaan
sunte hain falak-bos imarat hai tah-e-ab
kya shahr tha kya mauj ki raftar meri jaan
dil hai ki abhi dard ke narghe mein ghira hai
chehra hai ki aalam mein hai aKHbar meri jaan
ta-umr na milne ki kasak sath rahegi
pahla to nahin aaKHiri didar meri jaan
(349) Peoples Rate This