Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cfa38b9637283bdae3c923f8302db890, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Arz-e-muddaa Hone Se Pahle - Khursheed Akbar Poetry In English - Darsaal

Ek Arz-e-muddaa Hone Se Pahle

ek arz-e-muddaa hone se pahle

soch lena tha KHuda hone se pahle

KHwahishen kitni adhuri rah gai hain

jism o jaan mein fasla hone se pahle

aaKHiri tahrir hai aab-e-rawan par

aaKHiri bosa qaza hone se pahle

is qadar miTha na hona chahiye tha

un labon ko zaiqa hone se pahle

us ki aankhon ke piyale nachte hain

kho gae kitne nasha hone se pahle

kaun jaane Dubna hai ya ubharna

paniyon mein rasta hone se pahle

KHud-kushi kar li chamakte chand ne bhi

aaKHir-e-shab aaina hone se pahle

shahr se shadan guzar jaana hai behtar

mushtail aab-o-hawa hone se pahle

wo makin-e-dil hua KHurshid-'akbar'

ghar ka darwaza khula hone se pahle

(353) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Arz-e-muddaa Hone Se Pahle In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Ek Arz-e-muddaa Hone Se Pahle is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Ek Arz-e-muddaa Hone Se Pahle for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Ek Arz-e-muddaa Hone Se Pahle in PDF.