Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_56e45133869949883a4edb8bb9e565af, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Badan Ki Rakh Se Raushan Sharara Kar Ke Dekhunga - Khursheed Akbar Poetry In English - Darsaal

Badan Ki Rakh Se Raushan Sharara Kar Ke Dekhunga

badan ki rakh se raushan sharara kar ke dekhunga

main apni jaan ko ab ke sitara kar ke dekhunga

wo tanha justuju bechain si rahti hai aankhon mein

qayamat aa bhi jae to gawara kar ke dekhunga

qaza aksar mere kuche se be-parda guzarti hai

use bhi khelte hanste ishaara kar ke dekhunga

ye socha hai lab-e-larzan pe rakh kar tishnagi sari

tujhe bhi ai samundar istiara kar ke dekhunga

na chhat hogi na dar hoga na sahn-e-yar ka gosha

main shahr-e-afiyat mein yun guzara kar ke dekhunga

badan kashti bhanwar KHwahish irada baadban jaisa

junun-dariya chalo KHud ko kinara kar ke dekhunga

safar mein KHair-o-shar ke baad wo manzil bhi aaegi

jahan 'KHurshid' apna goshwara kar ke dekhunga

(317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Ki Rakh Se Raushan Sharara Kar Ke Dekhunga In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Badan Ki Rakh Se Raushan Sharara Kar Ke Dekhunga is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Badan Ki Rakh Se Raushan Sharara Kar Ke Dekhunga for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Badan Ki Rakh Se Raushan Sharara Kar Ke Dekhunga in PDF.