Mausam-e-gul Ye Teri Zard Sahafat Kaisi
mausam-e-gul ye teri zard sahafat kaisi
phul masum hain phulon se siyasat kaisi
us ne daldal ke qarin chhoD di ungli meri
KHizr kahlata hai karta hai qayaadat kaisi
jaise is bar hawaon mein lagi ho dimak
ho rahi hai meri sanson ki kifalat kaisi
main jahan bhi rahun ye DhunD nikalegi mujhe
jaanta hun ki hai miTTi ki basarat kaisi
chhin gai mujh se har ek chiz alif se ya tak
mere mazi ne ye likkhi thi wasiyyat kaisi
gar koi qatl nahin karta hai andar se mujhe
phir meri palkon pe ashkon ki ye mayyat kaisi
sang hathon mein liye soch raha hun 'KHurshid'
aaine se ye nikal aai raqabat kaisi
(505) Peoples Rate This