Kya Kya Na Dosti Ke Janaze UThae Hain
kya kya na dosti ke janaze uThae hain
thak-haar kar adu ke ilaqe mein aae hain
aa dekh zindagi teri izzat ke waste
zaKHmi labon se hum ne tabassum luTae hain
kis se karen sawal ke aawa bhi chahiye
hum ne bhi chaak par kai kuze banae hain
tezab chhiDke jaenge ru-e-gulab par
sunte hain gulistan mein wo tashrif lae hain
mazi ko haal karne ki ye bhi hai ek lalak
aawaz tu ne di hai to hum lauT aae hain
hum par hi raushni ki imamat hui tamam
hum ne diye hawaon ke ghar mein jalae hain
sahra mein zindagi ki alamat bhi DhunDhna
hum bhi kai suragh wahan chhoD aae hain
khinchi thi tum ne hadd-e-wafa ki jahan lakir
hum hasraten tamam wahan chhoD aae hain
ye hai kisi ke gham ki shariat ka ehtimam
aankhen meri zarur hain aansu parae hain
tohfe mein tum ne bheje the bujhte diye tamam
aur hum tumhaare waste 'KHurshid' lae hain
(425) Peoples Rate This