Kabhi Sitara Kabhi Ramz-o-istiara Hua
kabhi sitara kabhi ramz-o-istiara hua
ajib Dhang se wo mujh pe aashkara hua
sabhi ne aaina dekha abhi musallam tha
teri nigah paDi aur para para hua
rakha gaya hai hifazat se self mein mujh ko
ki jaise main bhi KHususi koi shumara hua
hamin ne aag lagai thi apne daman mein
phir us ke baad na aansu koi sharara hua
lahu ka qatra tha wo bhi jo apni gardish mein
kahin charagh bana aur kahin sitara hua
tere jamal ka sauda to kar liya lekin
kabhi nigah kabhi jaan ka KHasara hua
nafas nafas teri hamsaegi mili mujh ko
main tera parda hua tu mera nazara hua
(368) Peoples Rate This