Kaj-faham Se Kya Dil Ki Hikayat Kahen Hum
kaj-faham se kya dil ki hikayat kahen hum
behtar hai jo samjhen so wahi ban ke rahen hum
ho rau mein teri chashm-e-bala-KHez ka dariya
is nur ke sailab mein ek bar bahen hum
jo kaif tere qurb mein hai aur kahan hai
dekh aae hain waise to bahut aish-gahen hum
thi jhilon ki aaghosh mein gahrai jahan par
chhoD aae parindon ki tarah aisi jaghen hum
aamad ka teri jab koi imkan nahin hai
kab tak dil-e-be-tab yunhi tham rakhen hum
jo aks wo chahen wahi aaina dikhae
wo dekhen hamein jaise 'KHiram' un ko dikhen hum
(446) Peoples Rate This