Ho Ke Aaina Muqabil Bhi Raha Rad Ki Nahin
ho ke aaina muqabil bhi raha rad ki nahin
darmiyan aaj bhi hai hijr ki sarhad ki nahin
dil-baran yunhi na thi kufr-parasti dil ki
ftina-e-subh-e-qayamat hai tera qad ki nahin
han bata wahm se katrae hue husn-e-yaqin
nang-e-tahqiq hui rasm-e-ab-o-jad ki nahin
dil se us rashk-e-charagh-e-harm-o-dair ke baad
hai wahi wahshat-e-tariki-e-mabad ki nahin
zindagi aaj talak meri tamanna-gah mein
tere kuchh kaam bhi aai hai KHushamad ki nahin
hairaten aap bhula baiThi thin tai kar ke jinhen
aaina-KHanon mein raij hai wo abjad ki nahin
ishq mein kaun muqabil tha mere kis pe khule
mansab-e-qais ki KHwahan hai ye masnad ki nahin
(498) Peoples Rate This