Hikayaton Se Fasanon Se Ret UDti Hai
hikayaton se fasanon se ret uDti hai
yahan qadim zamanon se ret uDti hai
nasheb-e-jaan se umaDte hain taza-rau dariya
buland-baam makanon se ret uDti hai
lapak alag hai chamak aur hai lalak hai juda
ye kaisi kaisi uThanon se ret uDti hai
yahan kitabon se jhaDti hain bhurnhuri sadiyan
aur ek shelf ke KHanon se ret uDti hai
ba-najd KHatir-e-majnun wara-e-shauq-o-junun
uDe to kitne bahanon se ret uDti hai
hamari naqsh-numai ko chaTne ke liye
tere tamam jahanon se ret uDti hai
yahin kahin the wo lahren uchhaalne wale
hamare dil mein zamanon se ret uDti hai
(393) Peoples Rate This