Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f586501b32914943102453bc4400aa30, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Dar Se UTh Kar Jidhar Jaun Main - Khumar Barabankavi Poetry In English - Darsaal

Tere Dar Se UTh Kar Jidhar Jaun Main

tere dar se uTh kar jidhar jaun main

chalun do qadam aur Thahar jaun main

sambhaale to hun KHud ko tujh bin magar

jo chhu le koi to bikhar jaun main

agar tu KHafa ho to parwa nahin

tera gham KHafa ho to mar jaun main

tabassum ne itna Dasa hai mujhe

kali muskurae to Dar jaun main

mera ghar fasadat mein jal chuka

watan jaun to kis ke ghar jaun main

'KHumar' un se tark-e-talluq baja

magar jite-ji kaise mar jaun main

(641) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Tere Dar Se UTh Kar Jidhar Jaun Main In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Tere Dar Se UTh Kar Jidhar Jaun Main is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Tere Dar Se UTh Kar Jidhar Jaun Main for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Tere Dar Se UTh Kar Jidhar Jaun Main in PDF.