Pi Pi Ke Jagmagae Zamane Guzar Gae
pi pi ke jagmagae zamane guzar gae
raaton ko din banae zamane guzar gae
jaan-e-bahaar phul nahin aadmi hun main
aa ja ki muskurae zamane guzar gae
kya laiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto
patthar bhi ghar mein aae zamane guzar gae
o jaane wale aa ki tere intizar mein
raste ko ghar banae zamane guzar gae
gham hai na ab KHushi hai na ummid hai na yas
sab se najat pae zamane guzar gae
marne se wo Daren jo ba-qaid-e-hayat hain
mujh ko to maut aae zamane guzar gae
kya kya tawaqquat thin aahon se ai 'KHumar'
ye tir bhi chalae zamane guzar gae
(417) Peoples Rate This