Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3c9c3f3a4b5b0910cd5257ace8ecde7b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai - Khumar Barabankavi Poetry In English - Darsaal

Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai

na haara hai ishq aur na duniya thaki hai

diya jal raha hai hawa chal rahi hai

sukun hi sukun hai KHushi hi KHushi hai

tera gham salamat mujhe kya kami hai

charaghon ke badle makan jal rahe hain

naya hai zamana nai raushni hai

are o jafaon pe chup rahne walo

KHamoshi jafaon ki taid bhi hai

mere rahbar mujh ko gumrah na kar de

suna hai ki manzil qarib aa gai hai

'KHumar'-e-bala-nosh ki tu aur tauba

tujhe zahidon ki nazar lag gai hai

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Na Haara Hai Ishq Aur Na Duniya Thaki Hai in PDF.