Mujhko Ye Jaan-o-dil Qubul Naghme Ko Naghma Hi Samajh
mujh ko ye jaan-o-dil qubul naghme ko naghma hi samajh
saz ye bitti hai kya ye bhi kabhi kabhi samajh
ishq hai tishnagi ka nam toD de gar mile bhi jam
shiddat-e-tishnagi na dekh lazzat-e-tishnagi samajh
husn ki mehrbaniyan ishq ke haq mein zahr hain
husn ke ijtinab tak ishq ki zindagi samajh
tark-e-talluqat bhi ain-e-talluqat hai
aag bujhi hui na jaan aag dabi hui samajh
aql ke karobar mein dil ko bhi rakh sharik-e-kar
dil ke muamalat mein aql ko ajnabi samajh
ghuncha-o-gul ke sath sath dil ki taraf bhi ek nazar
shefta-e-shaguftagi wajh-e-shaguftagi samajh
aise bhi raaz hain 'KHumar' hote nahin jo aashkar
apni hi mushkilen na dekh un ki bhi bebasi samajh
(439) Peoples Rate This