Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_140c044246eddea80a50a15228228415, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhko Shikast-e-dil Ka Maza Yaad Aa Gaya - Khumar Barabankavi Poetry In English - Darsaal

Mujhko Shikast-e-dil Ka Maza Yaad Aa Gaya

mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya

tum kyun udas ho gae kya yaad aa gaya

kahne ko zindagi thi bahut muKHtasar magar

kuchh yun basar hui ki KHuda yaad aa gaya

waiz salam le ki chala mai-kade ko main

firdaus-e-gum-shuda ka pata yaad aa gaya

barse baghair hi jo ghaTa ghir ke khul gai

ek bewafa ka ahd-e-wafa yaad aa gaya

mangenge ab dua ki use bhul jaen hum

lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya

hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'KHumar'

kya baat ho gai jo KHuda yaad aa gaya

(481) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Shikast-e-dil Ka Maza Yaad Aa Gaya In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Mujhko Shikast-e-dil Ka Maza Yaad Aa Gaya is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Mujhko Shikast-e-dil Ka Maza Yaad Aa Gaya for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Mujhko Shikast-e-dil Ka Maza Yaad Aa Gaya in PDF.