Kabhi Sher-o-naghma Ban Ke Kabhi Aansuon Mein Dhal Ke
kabhi sher-o-naghma ban ke kabhi aansuon mein Dhal ke
wo mujhe mile to lekin mile suraten badal ke
ye wafa ki saKHt rahen ye tumhaare pa-e-nazuk
na lo intiqam mujh se mere sath sath chal ke
wahi aankh be-baha hai jo gham-e-jahan mein Dube
wahi jam jam hai jo baghair farq chhalke
na to hosh se taaruf na junun se aashnai
ye kahan pahunch gae hum teri bazm se nikal ke
ye charagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehman
tu jala wo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke
koi ai 'KHumar' un ko mere sher nazr kar de
jo muKHalifin muKHlis nahin mo'tarif ghazal ke
(497) Peoples Rate This