Kabhi Jo Maine Masarrat Ka Ehtimam Kiya
kabhi jo main ne masarrat ka ehtimam kiya
baDe tapak se gham ne mujhe salam kiya
hazar tark-e-talluq ka ehtimam kiya
magar jahan wo mile dil ne apna kaam kiya
zamane walon ke Dar se uTha na hath magar
nazar se us ne ba-sad mazarat salam kiya
kabhi hanse kabhi aahen bharin kabhi roe
ba-qadr-e-martaba har gham ka ehtiram kiya
hamare hisse ki mai kaam aae pyason ke
ze-rah-e-KHair gunah-e-shikast-e-jam kiya
tulu-e-mahr se bhi ghar ki tirgi na ghaTi
ek aur shab kaTi ya main ne din tamam kiya
dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere
'KHumar' main ne to apna safar tamam kiya
(452) Peoples Rate This