Jhunjhlae Hain Lajae Hain Phir Muskurae Hain
jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain
kis ehtimam se unhen hum yaad aae hain
dair-o-haram ke habs-kadon ke satae hain
hum aaj mai-kade ki hawa khane aae hain
ab ja ke aah karne ke aadab aae hain
duniya samajh rahi hai ki hum muskurae hain
guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad hum
kuchh dur aadatan bhi qadam laDkhaDae hain
ai josh-e-girya dekh na karna KHajil mujhe
aankhen meri zarur hain aansu parae hain
ai maut ai bahisht-e-sukun aa KHush-amdid
hum zindagi mein pahle pahal muskurae hain
jitni bhi mai-kade mein hai saqi pila de aaj
hum tishna-kaam zohd ke sahra se aae hain
insan jite-ji karen tauba KHataon se
majburiyon ne kitne farishte banae hain
samjhate qabl-e-ishq to mumkin tha banti baat
naseh gharib ab hamein samjhane aae hain
kabe mein KHairiyat to hai sab hazrat-e-'KHumar'
ye dair hai janab yahan kaise aae hain
(533) Peoples Rate This