Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_699434eca5d3a9864b92a7de9c5802c6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Husn Jab Mehrban Ho To Kya Kijiye - Khumar Barabankavi Poetry In English - Darsaal

Husn Jab Mehrban Ho To Kya Kijiye

husn jab mehrban ho to kya kijiye

ishq ke maghfirat ki dua kijiye

is saliqe se un se gila kijiye

jab gila kijiye hans diya kijiye

dusron par agar tabsira kijiye

samne aaina rakh liya kijiye

aap sukh se hain tark-e-talluq ke baad

itni jaldi na ye faisla kijiye

zindagi kaT rahi hai baDe chain se

aur gham hon to wo bhi ata kijiye

koi dhoka na kha jae meri tarah

aise khul ke na sab se mila kijiye

aql o dil apni apni kahen jab 'KHumar'

aql ki suniye dil ka kaha kijiye

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Jab Mehrban Ho To Kya Kijiye In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Husn Jab Mehrban Ho To Kya Kijiye is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Husn Jab Mehrban Ho To Kya Kijiye for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Husn Jab Mehrban Ho To Kya Kijiye in PDF.