Gham Duniya Bahut Iza-rasan Hai
gham duniya bahut iza-rasan hai
kahan hai ai gham-e-jaanan kahan hai
ek aansu kah gaya sab haal dil ka
na samjha tha ye zalim be-zaban hai
KHuda mahfuz rakhte aafaton se
kai din se tabiat shadman hai
wo kanTa hai jo chubh kar TuT jae
mohabbat ki bas itni dastan hai
ye mana zindagi kaamil hai lekin
agar aa jae jina jawedan hai
salam aaKHir hai ahl-e-anjuman ko
KHumar ab KHatm apni dastan hai
(450) Peoples Rate This