Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ab8991ba364a3628ca7ed164b2e405f9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Akele Hain Wo Aur Jhunjhla Rahe Hain - Khumar Barabankavi Poetry In English - Darsaal

Akele Hain Wo Aur Jhunjhla Rahe Hain

akele hain wo aur jhunjhla rahe hain

meri yaad se jang farma rahe hain

ye kaisi hawa-e-taraqqi chali hai

diye to diye dil bujhe ja rahe hain

ilahi mere dost hon KHairiyat se

ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain

bahisht-e-tasawwur ke jalwe hain main hun

judai salamat maze aa rahe hain

qayamat ke aane mein rindon ko shak tha

jo dekha to waiz chale aa rahe hain

bahaaron mein bhi mai se parhez tauba

'KHumar' aap kafir hue ja rahe hain

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Akele Hain Wo Aur Jhunjhla Rahe Hain In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Akele Hain Wo Aur Jhunjhla Rahe Hain is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Akele Hain Wo Aur Jhunjhla Rahe Hain for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Akele Hain Wo Aur Jhunjhla Rahe Hain in PDF.