Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c8cee9fb0af9563c60dcf01663606203, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi - Khumar Barabankavi Poetry In English - Darsaal

Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi

aisa nahin ki un se mohabbat nahin rahi

jazbaat mein wo pahli si shiddat nahin rahi

zof-e-quwa ne aamad-e-piri ki di nawed

wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi

sar mein wo intizar ka sauda nahin raha

dil par wo dhaDkanon ki hukumat nahin rahi

kamzori-e-nigah ne sanjida kar diya

jalwon se chheD-chhaD ki aadat nahin rahi

hathon se intiqam liya irtiash ne

daman-e-yar se koi nisbat nahin rahi

paiham tawaf-e-kucha-e-jaanan ke din gae

pairon mein chalne phirne ki taqat nahin rahi

chehre ko jhurriyon ne bhayanak bana diya

aaina dekhne ki bhi himmat nahin rahi

allah jaane maut kahan mar gai 'KHumar'

ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi

(333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Rahi in PDF.