Jafa Ke Baad Hua Hai Magar Malal To Hai
jafa ke baad hua hai magar malal to hai
KHusha-nasib unhen phir mera KHayal to hai
adu ki bazm-e-tarab mein sharik kya hote
mizaj-e-dost mein ab tak bhi ishtial to hai
zaban pe harf-o-hikayat kya zaruri hain
gareban chaak dikhana hi arz-e-haal to hai
kisi ki rah-e-mohabbat mein gamzan hona
hayat ka yahi zarrin ek maal to hai
junun-e-shauq ki takmil ho na ho phir bhi
kisi ke pesh-e-nazar ishq ka sawal to hai
nazar mein pyar ishaaron mein dil ki baat ka aks
zaban pe zahiri ek un ki qil-o-qal to hai
tasawwuraat mein koi sama raha hai 'KHizar'
qarar phir na sahi azm-e-nek-fal to hai
(417) Peoples Rate This