Ishq Mein Kya Kaam Karti Aql-o-danai Ki Baat
ishq mein kya kaam karti aql-o-danai ki baat
do-qadam aage chali izzat se ruswai ki baat
waqt-e-mushkil ghair kya apne bhi dushman ban gae
kah gaya hai josh mein diwana gahrai ki baat
kaam karta hai tasawwur kaam aati hai nazar
be-sabab hoti nahin hai jalwa-arai ki baat
muskuraata hun to aankhon mein machal jate hain ashk
dard mein ghul-mil gai hai ek harjai ki baat
parda-dari ki numaish ho rahi hai roz-o-shab
ek tamasha ban gai hai KHud tamashai ki baat
KHud-baKHud pairon se rista hai 'KHizar' mere lahu
jab koi karta hai mujh se aabla-pai ki baat
(486) Peoples Rate This