Ahd-e-rafta Ki Hikayat Karbala Se Kam Na Thi
ahd-e-rafta ki hikayat karbala se kam na thi
zindagani nasl-e-adam par bala se kam na thi
KHun ke dariya ki lahron mein bashar gharqab tha
waqt ki raftar goya bad-dua se kam na thi
phir rahe the hukmaran kashkol le kar dar-ba-dar
bandagi ki zahiri surat gada se kam na thi
har taraf KHunin bhanwar har samt chiKHon ke azab
mauj-e-gul bhi ab ke dozaKH ki hawa se kam na thi
mabadon mein jin ke iman par lahu chhiDka gaya
un ke KHal-o-KHat ki raunaq parsa se kam na thi
zulm ke ifrit ne shahron ko viran kar diya
yun to barbaadi jahan mein ibtida se kam na thi
aisi zalim dastanen kan mein paDti rahin
haisiyat jin ki tilismi majra se kam na thi
jaane kis gardab-e-zulmat mein Duboya hai unhen
jin ki raushan rahnumai naKHuda se kam na thi
(620) Peoples Rate This