The Daman-e-hayat Pe Ek Dagh Ham, Gae
the daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae
lekin ye kya hua teri zulfon ke KHam gae
ek ehtijaj se hain ibarat hayat-o-maut
rote hue jo aae to ba-chashm-e-nam gae
tai kar saka na wusat-e-dasht-e-wafa koi
dawe jinhen bahut the qadam-do-qadam gae
kuchh der khelte rahe mauj-e-bala se hum
kuchh dur sath sath wajud-o-adam gae
Thahre hue hain barg-e-KHizan-dida ki tarah
sanki hawa zara bhi to samjho ki hum gae
ye majra hai kya ki zamin Dolne lagi
ye kya hua ki chalte hue log tham gae
(579) Peoples Rate This