KHwabon Ki Tilsmati Guphaon Se Nikal Ke
KHwabon ki tilsmati guphaon se nikal ke
dekho kabhi virana-e-jaan aankh ko mal ke
har lamha hai ek aaina-e-umr-e-guzishta
peshani-e-imroz pe bhi zaKHm hain kal ke
tai ho na saka marhala-e-dasht-e-tamanna
diwar bani panw ki zanjir pighal ke
ek rose to ye dil ki taDap lab pe bhi aae
ek rose to ye saghar-e-labrez bhi chhalke
dekha jo kabhi dil ke dariche mein simaT kar
sadiyan milen simTi hui aaghosh mein pal ke
haijaan se hain gunji hui dhyan ki galiyan
dil mein utar aae hain nigahon ke dhundalke
'KHawar' abhi kuchh yaad ki shamen hain farozan
raushan hain dar-o-baam abhi meri ghazal ke
(458) Peoples Rate This