Ba-hama Yurish-e-alam-o-sitam Zinda Hun Main
ba-hama yurish-e-alam-o-sitam zinda hun main
mushaf-e-waqt ka ek bab-e-daraKHshanda hun main
mere sine mein dhaDakta hai dil-e-asr-e-rawan
is zamane ka mufassir hun numainda hun main
main ki haq tha hua har daur mein maslub magar
kal bhi painda tha main aaj bhi painda hun main
tu tamannai hai ek jannat-e-mauuda ka
apni gum ki hui firdaus ka joinda hun main
mere zaKHmon se huwaida hai hina-bandi-e-gul
ek nawed-e-chaman-arai-e-ainda hun main
madh-KHwan-e-shab-e-tarik mujhe kya samjhe
subh-e-gul-rez ke naghmon ka nawisanda hun main
ye jahan kaise faramosh karega mujh ko
is ke aflak ka ek 'KHawar'-e-tabinda hun main
(448) Peoples Rate This