BaDhenge Aur Bhi Yun Silsile Hijabon Ke
baDhenge aur bhi yun silsile hijabon ke
kar apni baat hawale na de kitabon ke
main shahr-e-gul ka musafir mare sharik-e-safar
saubaton ki ye raaten ye din azabon ke
teri nazar se ibarat the tere sath gae
wo phul mere KHayalon ke rang KHwabon ke
tamam umr phir ek karb ki chita mein jale
hum ek pal jo ruke shahar mein gulabon ke
haTaya rang ka pauda to zaKHm zaKHm tha phul
chaman chaman the wahi silsile sarabon ke
abhi wo habs hai 'KHawar' ki dam ulajhta hai
abhi khule rakho darwaze apne KHwabon ke
(443) Peoples Rate This