Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b6f6102ac0279d49cc49ce5df56ff7fd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabhi Zamin Kabhi Aasman Mein Tairta Hun - Khawar Naqvi Poetry In English - Darsaal

Kabhi Zamin Kabhi Aasman Mein Tairta Hun

kabhi zamin kabhi aasman mein tairta hun

tilism-e-nur ke ek ek nishan mein tairta hun

ba-rang-e-saz kabhi barbaton se phuTta hun

kabhi ba-shakl-e-sada armughan mein tairta hun

kabhi main Dhalta hun kaghaz pe naqsh ki surat

main lafz ban ke kisi ki zaban mein tairta hun

kabhi kabhi to mujhe bhi KHabar nahin hoti

ki kis maqam pe kis kis jahan mein tairta hun

mere safar mein koi ajnabi sa rahta hai

muhit sher ke jab imtihan mein tairta hun

(508) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Zamin Kabhi Aasman Mein Tairta Hun In English By Famous Poet Khawar Naqvi. Kabhi Zamin Kabhi Aasman Mein Tairta Hun is written by Khawar Naqvi. Read famous Poem Kabhi Zamin Kabhi Aasman Mein Tairta Hun for youth and Student by Khawar Naqvi. Free Download Kabhi Zamin Kabhi Aasman Mein Tairta Hun in PDF.