Ye Barf-posh Manazir Bhi Shoala-KHu Nikle
ye barf-posh manazir bhi shoala-KHu nikle
ye kab hua ki dharo panw to lahu nikle
wo jab bhi aate hain suraj ke rath pe aate hain
ye is liye ki kisi ki na aarzu nikle
hujum itna ho jis ka na ho shumar ki jab
meri kitab ka parcham bana ke tu nikle
jhapakte dekhin kisi ne na muntazir aankhen
ye chaak wo hain jo begana-e-rafu nikle
naqab tabish-e-jalwa se aab aab hua
ki jaise dhup mein koi kinar-e-ju nikle
hujum-e-baada-kashan mein bhi hum ne dekha hai
bahut se log hamesha hi ba-wazu nikle
halak hota hai kab koi dusron ke liye
kiya jo ghaur to hum apne hi adu nikle
ye mere jazb-e-nihan ka hai moajaza shayad
ki dil mein jhank ke dekhun to tu hi tu nikle
ye hai bahaar ki charba bahaar ka 'KHawar'
ki dhund oDh ke ushshaq-o-KHub-ru nikle
(401) Peoples Rate This