Kahin Jalti Apni Hi Aanch Se Kahin KHushbuon Mein Bhari Hui
kahin jalti apni hi aanch se kahin KHushbuon mein bhari hui
koi shaKH-e-gul thi ki aag thi mere bazuon mein bhari hui
wo tilismi raat abhi talak mere jism o jaan pe muhit hai
wo jo raat utri thi arsh se tere jaduon mein bhari hui
tere chashm o lab ki shabahaten mujhe roz o shab milen bagh mein
kahin titliyon pe likhi hui kahin jugnuon mein bhari hui
mujhe sair-e-gul ki kisi rawish pe mili nahin hai misal bhi
koi be-misal si mushk thi tere gesuon mein bhari hui
tu chala gaya hai to shahr phir wahi dasht-e-gham hai mere liye
wahi main hun aur meri zindagi mere aansuon mein bhari hui
(373) Peoples Rate This