Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99cf8477cd1b8e876a6917f6fbf06b4d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tujhse Mil Kar Is Qadar Apnon Se Begane Hue - Khatir Ghaznavi Poetry In English - Darsaal

Tujhse Mil Kar Is Qadar Apnon Se Begane Hue

tujh se mil kar is qadar apnon se begane hue

ab to pahchane nahin jate hain pahchane hue

but jinhen hum ne tarasha aur KHudai saunp di

aa gae hain samne patthar wahi tane hue

KHalq ki tohmat se chhuTe sang-e-tiflan se bache

KHub the wo log jo KHud apne diwane hue

is ko kya kahiye ki hum har haal mein jalte rahe

duriyon mein chand the qurbat mein parwane hue

apni surat mein bhi 'KHatir' ek guna sehr tha

aaina-KHanon mein farzane bhi diwane hue

(575) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhse Mil Kar Is Qadar Apnon Se Begane Hue In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Tujhse Mil Kar Is Qadar Apnon Se Begane Hue is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Tujhse Mil Kar Is Qadar Apnon Se Begane Hue for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Tujhse Mil Kar Is Qadar Apnon Se Begane Hue in PDF.